Pages

Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera lyrics

Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera lyrics:

Khwaja e Hind Wo Darbaar Hai Aa’la Tera

Khwaja e Hind Wo Darbaar Hai Aa’la Tera

Kabhi Mahroom Nahiñ Maangne Waala Tera


Maa e Sar Josh Dar Aaghosh Hai Sheesha Tera

Be Khudi Ch’haaye Na Kyuñ Pee Ke Pyaala Tera. 


Khuftgaan e Shab e Ghaflat Ko Jaga Deta Hai

Saal-haa Saal Wo Raatoñ Ka Na Sona Tera. 


Hai Teri Zaat Ajab Bahr e Haqeeqat Pyaare

Kisi Tayraak Ne Paaya Na Kinaara Tera. 


Jaur e Paamaali e ‘Aalam Se Usay Kya Matlab

Khaak Meiñ Mil Nahiñ Sakta Kabhi Zar’ra Tera. 


Kis Qadar Josh e Tahay’yur, Ke ‘Ayaañ Haiñ Aasaar

Nazar Aaya Magar Aa-ina Ko Talwa Tera. 


Gulshan e Hind Se Shaadaab Kaleje ‘Thand’ay

Waah! Ay Abr e Karam Zor Barasna Tera. 


Kya Mahak Hai Ke Mu’at’tar Hai Dimaagh e ‘Aalam

Takhta e Gulshan e Firdaus Hai Rauza Tera. 


Tere Zar’ra Pe Ma’aasi Ki Ghat’a Ch’haayi Hai

Is Taraf Bhi Kabhi Ay Mahr Ho Jalwa Tera. 


Tujh Meiñ Haiñ Tarbiyat e Khizr Ke Paida Aasaar

Bahr o Bar Meiñ Hameñ Milta Hai Sahaara Tera. 


Phir Mujhe Apna Dar e Paak Dikha De Pyaare

Aankheñ Pur-Noor Hoñ Phir Dekh Ke Jalwa Tera. 


Zil’l e Haq Ghaus Pe, Hai Ghaus Ka Saaya Tujh Par

Saaya Gustar Sar e Khud’daam Pe Saaya Tera. 


Tujh Ko Baghdad Se Haasil Huwi Wo Shaan e Rafi’

Dang Rah Jaate Haiñ Sab Dekh Ke Rutba Tera. 


Kyuñ Na Baghdad Meiñ Jaari Ho Tera Chashma e Faiz

Bahr e Baghdad Hee Ki Nahr Hai Darya Tera. 


Kursi ‘Daali Teri, Takht e Shah e Jilaañ Ke Huzoor

Kitna Ooncha Kiya Allah Ne Paaya Tera. 


Rashk Hota Hai Ghulaamoñ Ko Kahiñ Aaqa Se?

Kyuñ Kahuñ Rashk Dah e Badr Hai Talwa Tera. 


Bashar Afzal Haiñ Malak Se Yuñh Madh Karuñ

Na Malak Khaas Bashar Karte Haiñ Mujra Tera


Jab Se Tu Ne Qadam e Ghaus Liya Hai Sar Par

Awliya Sar Pe Qadam Lete Haiñ Shaaha Tera. 


Muhiyud’deeñ Ghaus Haiñ Awr Khwaja Mu’eenud’deeñ Hai

Ay Hasan Kyuñ Na Ho Mahfooz Aqida Tera. 


Tere fazlo karam se door hujaye pareshani lyrics 


Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment