Aasman gar tere talwo ka nazara karta naat lyrics:
![]() |
Aasmaan gar tere |
Aasmaañ Gar Tere Talwoñ Ka Nazaara Karta
Roz Ik Chaand Tasad’duq Meiñ Utaara Karta
Tauf e Rauza Hee Pe Chakraaye Thay Kuch Na-Waaqif
Meiñ To Aapay Meiñ Na Tha Awr Jo Sajdah Karta.
Sarsar e Dasht e Madina Jo Karam Farmaati
Kyuñ Meiñ Afsurdagi e Bakht Ka Parwa Karta.
Ch’hup Gaya Chaand Na Aayi Tere Deedaar Ki Taab
Awr Agar Saamne Rehta Bhi To Sajdah Karta.
Ye Wohi Haiñ Ke Giro Aap Awr Un Par Machlo
Ult’i Baatoñ Pe Kaho, Kaun Na Seedha Karta.
Ham Se Zar’roñ Ki To Taqdeer Hee Chamka Jaata
Mahr Farma Ke Wo Jis Raah Se Nikla Karta.
‘Dhoom Zar’roñ Meiñ ‘Anash Shams’ Ki Par’ Jaati Hai
Jis Taraf Se Hai Guzar Chaand Hamaara Karta.
Aah! Kya Khoob Tha Gar Haazir e Dar Hota Maiñ
Un Ke Saaye Ke Talay Chain Se Soya Karta.
Shauq o Aadaab Baham Garm e Kashakash Rehte
‘Ishq e Gum Kardah Tuwaañ ‘Aql Se Uljha Karta.
Aankh Uth’ti To Maiñ Jhunjlaa Ke Palak See Leta
Dil Bigar’ta To Maiñ Ghabra Ke Sambhala Karta.
Be-Khudaana Kabhi Sajdah Maiñ Soo e Dar Girta
Jaanib e Qibla Kabhi Chonk Ke Palt’a Karta.
Baam Tak Dil Ko Kabhi Baal e Kabootar Deta
Khaak Par Gir Ke Kabhi, Haaye! Khudaaya Karta.
Gaahe Marham Nahi Zakhm e Jigar Meiñ Rehta
Gaahe Nashtar Zani Khoon e Taman’na Karta.
Hamrah e Mahr Kabhi Gird e Khateerah Phirta
Saaya Ke Saath Kabhi Khaak Pe Laut’a Karta.
Sohbat e Daagh e Jigar Se Kabhi Jhee Behlaata
Ulfat e Dast o Girebaañ Ka Tamaasha Karta
Dil e Hayraañ Ko Kabhi Zauq e Tapish Par Laata
Tapish e Dil Ko Kabhi Hausla-Farsa Karta
Kabhi Khud Apne Tahay’yur Pe Hayraañ Rehta
Kabhi Khud Apne Samajhne Ko Na Samjha Karta.
Kabhi Kehta Ke Ye Kya Bazm Hai Kaisi Hai Bahaar
Kabhi Andaaz e Tajaahul Se Maiñ Tauba Karta
Kabhi Kehta Ke Ye Kya Josh e Junooñ Hai Zaalim
Kabhi Phir Gir Ke Tar’apne Ki Taman’na Karta.
Suthri, Suthri, Wo Faza Dekh Ke Maiñ Gharq e Gunaah
Apni Aankhoñ Meiñ Khud Us Bazm Meiñ Khat’ka Karta
Kabhi Rahmat Ke Tasaw’wur Meiñ Hansi Aati Hai
Paas e Aadaab Kabhi Hontoñ Ko Bakhya Karta
Dil Agar Ranj e Ma’aasi Se Bigar’ne Lagta
Afw Ka Zikr Suna Kar Meiñ Sambhala Karta
Ye Mazay Khoobi e Qismat Se To Paaye Hote
Sakht Diwaana Tha, Gar Khuld Ki Parwa Karta.
Maut Us Din Ko, Jo Phir Naam o Watan Ka Leta
Khaak Us Sar Pe Jo Us Dar Se Kinaara Karta
Ay Hasan! Qasd e Madina Nahiñ, Rona Hai Yahi
Awr Maiñ Aap Se Kis Baat Ka Shikwaa Karta.
Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera lyrics: