Pages

Nahi hai koi duniya mein hamara ya rasool allah lyrics

Nahi hai koi duniya mein hamara ya rasool allah 
Faqat hai aapka hi ek sahara ya rasool allah. 

Talatum khaiz hai darya darya bhawar me hai meri khashti 
Nazar Aata nahi koi kinaara ya rasool rasool allah. 

Nahi hai koi duniya mein hamara ya rasool allah 
Faqat hai aapka hi ek sahara ya rasool allah. 

Tadapta hai mera dil aur tarasti hain bahut aankhen 
Bulalo abb madine me dubara ya rasool allah. 

Faqat Aamaal ke badle napaiga koi jannat 
Na hoga jab talak tera ishara ya rasool allah. 

Nahi hai koi duniya mein hamara ya rasool allah 
Faqat hai aapka hi ek sahara ya rasool allah. 

Sarapa maasiyat hoon baar hai behad gunahoon ka 
Bachana naare dauzakh se khudara ya rasool allah. 

Nahi hai koi duniya mein hamara ya rasool allah 
Faqat hai aapka hi ek sahara ya rasool allah. 

Dame akhir zara hassam par itna karam karna 
Ke iske lab pe ho kalima tumahara ya rasool allah. 

Nahi hai koi duniya mein hamara ya rasool allah 
Faqat hai aapka hi ek sahara ya rasool allah. 

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment