Jo hai khuda ka ik wali, h sacha Ashiqe Nabi
Ata hai Ghous e paak ki, wo mera peer Azhari
Dua e Mustafa Raza, Raza e Mustafa Raza
Sada e Mustafa Raza, Ata e Mustafa Raza
Hai uspe har jagah sada, Nigaahe Mustafa Raza
Hai Aisi Shan ka dhani, wo Mera peer
Azhari.
Buzurgon ki duayen leke hind se wo jb chala
Phunch ke misr dekhte hi dekhte wo chha gya
Ye uska ilmi martaba, tha dang Sara jamiaa
Bana jo Fakhr e Azhari, wo Mera peer Azhari.
Macha ke Ilm o fan ki dhoom misr se wo aa gye
Ye unki Shan thi ke lene Mustafa Raza gye
Tha itna aap par yaqeen banaya apna jaan nashin
Unhi ko kehte hain sabhi wo Mera peer Azhari.
ghuroor e Dushmane Nabi ko Jo todta chala gya
Sabhi ko Maslak e Raza se jodta chala gya
Har ek Sulhe kulli ka jo parda faash kar gya
Tha koun bol do sabhi wo Mera peer Azhari.
Baland Rab ne Kar diya tha aisa unka martaba
Us ek zaat se tha dushmano pe itna dabdaba
Ke basti basti qariya ka jahaan bhi Naara lag gya
Awaam sab pukar uthi wo Mera peer Azhari.
Har ik mureed ko 'Naim' Ghous se Mila diya
Jahan jahan qadam gye ilaqa jagmaga diya
Wo Sunniyon ki Shan hain, wo Razwiyon ki jaan
hain Dilon ka hai sukoon bhi wo Mera peer Azhari.