Humne aankhon se dekha nahi hai magar naat lyrics:
1. Humne aankhon se dekha nahi hai magar
Unki tasweer seene me maujood hai
Jisne lakar kalam e ilaahi diya
Woh Mohammed Madine mein maujud hai.
2. Phool Khilte Hain padhakar ke salle Ala
Jhumkar kah rahi hai yah baten Saba
Aisi Khushbu Chaman Ke gulon mein kahan
Jo Nabi Ke pasine mein maujud hai.
Humne aankhon se dekha nahi hai magar
Unki tasweer seene me maujood hai
Jisne lakar kalam e ilaahi diya
Woh Mohammed Madine mein maujud hai.
3. Humne Mana ki Jannat bahut Hai Haseen
Chhodkar Ham Madine n Jaaye Kahin
Yun To Jannat mein Sab Hai Madina Nahin
Aur Jannat Madine mein maujud hai.
Humne aankhon se dekha nahi hai magar
Unki tasweer seene me maujood hai
Jisne lakar kalam e ilaahi diya
Woh Mohammed Madine mein maujud hai.
4. Chhood naa Tera Taiba gawara nahin
Sare Alam Mein Aisa Nazara nahin
Aisa Manzar Zamane Mein Dekha Nahin
Jaisa Manzar Madine mein maujud hai.
Humne aankhon se dekha nahi hai magar
Unki tasweer seene me maujood hai
Jisne lakar kalam e ilaahi diya
Woh Mohammed Madine mein maujud hai