Zameen-o-zamaa(n) tumhaare liye makeen-o-makaa(n) tumhaare liye,
Chuneen-o-chunaa(n) tumhaare liye, bane do jahaan tumhaare liye.
Dahan mein zabaan tumhaare liye badan mein hay jaa(n) tumhaare liye.
Ham aaye yahaan tumhaare liye utthein bhi wahaan tumhaare liye.
Farishte khidam Rasool-o-hisham tamaam-e-umam ghulaam-e-karam.
Wujood-o-’adam hudoos-o-qidam jahaan mein ‘iyaan tumhaare liye.
Kaleem-o-Najeeh, Maseeh-o-Safi, Khaleel-o-Razi, Rasool-o-Nabi,
Ateeq-o-Wasi Ghani-o-’Ali sanaa ki zabaan tumhaare liye.
Isaalat-e-kul imaamat-e-kul siyaadat-e-kul imaarat-e-kul,
Hukoomat-e-kul wilaayat-e-kul Khuda key yahaan tumhaare liye.
Tumhaari chamak tumhari dhamak tumhari jhalak tumhari mahak,
Zameen-o-falak simaak-o-samak mein sikkah nishaa(n) tumhaare liye.
Wo kanz-e-nihaan yeh noor-e-fashaan woh kun sey ‘iyaan yeh bazm-e-fakaan,
Yeh har tan-o-jaa(n) yeh baagh-e-jinaan yeh saaraa samaa(n) tumhaare liye.
Zuhoor-e-nihaa(n) qayaam-e-jahaa(n) rukoo’-e-mihaan sujood-e-shahaa(n),
Niyaazei(n) yahaaa(n) namazei(n) wahaa(n) yeh kis liye haan tumhaare liye.
Yeh shams-o-qamar yeh shaam-o-sahar yeh barg-o-shajar yeh baagh-o-samar,
Yeh taigh-o-sipar yeh taaj-o-kamar yeh hukm-e-rawaa(n) tumhaare liye.
Yeh faiz diye woh jood kiye key naam liye zamaana jiye,
Jahaa(n) ney liye tumhaare diye yeh ikramiyaa(n) tumhaare liye.
Sahaab-e-karam rawaana kiye key aab-e-ni’am zamaanah piye,
Jo rakhte they hum woh chaak siye yeh satr-e-badaa(n) tumhaare liye.
Sanaa kaa nishaa(n) woh noor fashaa(n) keh mehr-wa-shaa(n) ba aanhamah shaa(n),
Ba-saaya kashaa(n) mawaakib shaa(n) yeh naam-o-nishaa(n) tumhaare liye.
‘Ataa-e-arab jala-e-karab fuyooz-e-’ajab baghair-e-talab,
Yeh rehmat-e-Rab hay kis key sabab ba-Rabb-e-jahaa(n) tumhaare liye.
Zunoob-e-fanaa ‘uyoob-e-habaa quloob-e-safaa khutoob-e-rawaa,
Yeh khoob-e-’ataa kuroob-e-zudaa paye dil-o-jaa(n) tumhaare liye.
Nah jinn-o-bashar key aattho(n) paher malaaikah dar pey bastah kamar,
Nah jubbah-o-sar key qalb-o-jigar hain sajdah kunaa(n) tumhaare liye.
Nah Rooh-e-Amee(n) nah ‘Arsh-e-Baree(n) nah Lawh-e-Mubee(n) koi bhi kaheen
Khabar hi nahin jo ramzei(n) khulee(n) azal ki nihaa(n) tumhaare liye.
Jinaa(n) mein chaman, chaman mein saman, saman mein phaban, phaban mein
dulhan,
Sazaa-e-mihan pey aise minan yeh amn-o-amaa(n) tumhaare liye.
Kamaal-e-mihaa(n) jalaal-e-shihaa(n) jamaal-e-hisaa(n) mein tum ho ‘iyaan,
Key saare jahaa(n) mein roz-e-fakaan zil-e-aaina saa(n) tumhaare liye.
Yeh toor kujaa siphir to kya key ‘arsh-e-‘ulaa bhi door raha,
Jihat sey waraa wisaal milaa yeh rif’at-e-shaa(n) tumhaare liye.
Khaleel-o-Naji, Maseeh-o-Safi, sabhi sey kahi kaheen bhi bani,
Yeh be-khabari key khalq phiri kahaa(n) sey kahaa(n) tumhaare liye.
Bafowr-e-sadaa samaa(n) yeh bandha yeh sidrah uttha woh arsh ‘jhuka,
Sufoof-e-samaa ne sajdah kiya huwi jo azaa(n) tumhaare liye.
Yeh marhamtei(n) key kachi matei(n) nah chhorei(n) latei(n) nah apni gatei(n),
Qusoor karei(n) aur un sey bharei(n) qusoor-e-jinaa(n) tumhaare liye.
Fanaa badarat baqaa babarat ze har do jihat bagird-e-sarat,
Hay markaziyyat tumhaari sifat key dono(n) kamaa(n) tumhaare liye.
Ishaare sey chaand cheer diya chhupe huwe khur ko pher liya,
Gaye huwe din ko ‘asr kiya ye taab-o-tawaa(n) tumhaare liye.
Sabaa woh chale key baagh phale woh phool khile key din ho(n) bhale,
Liwaa key taley sanaa mein khule RAZA ki zabaan tumhaare liye.