What is Share market? Share market kiya hai?
Share market kiya hai ?
Ye kis tareqe se kaam karta hai?
Iska kiya faide hain aur kiya noqsaan hain?
What is share market? Share market kiya hai?
Stock market, share market, equity market, in teeno 3 ka aik hi matlab huta hai. Jahan pe aap company ke share khareed sakte hain Yaa Beech Sakte Hain. Share khareed ne ka matalab ye huta hai ke aap us company me owner kuch Percent khareed rahe ho. Yaani kuch percent us company ke malik ban rahe hoo.
Agr company ko profit milega ga tu aapko bhi profit milega. Nuksan huga tu aapko bhi huga.
What is stock exchange?
Stock exchange wo jagah hai wo building jahan stock khareed Tee hain, Aur beech tee hain.
Ye Two types hain,
1. Primary market: wo hai jahan company akar apne stock sell karti hain, beech ti hain. Aur shere ka value decide karti hai. Depends on demand.
Ab yahan samjhie 50% jiske pass Shere rahenge wohi company ka CEO yani head rahega. Vohi is company ka Malik rahega. Isliye Jo company ke founder rahte hain vah 50% share apne pass rakh lete Hain.
2. Secondary market: Jahan log Shere lekar bechate Hain. Aur Jahan log Shere lete Hain.
Ab yeh Shere company kuchh decide nahin kar sakti. ab yah Shere upar niche hote rahenge. demand kitni hai uske per yah depend rahega.
Demand vs supply dekh kar share ki price hoti hai.
India's stock exchange?
Har country me stock exchange huti hai, India two papular stock exchange hain,
1. Bombay stock exchange
2. national stock exchange.