Pages

Sar sooye Rauza jhukaa phir tujh ko kya lyrics

Sar sooye Rauza jhukaa phir tujh ko kya,

Dil tha saajid najdiyaa phir tujh ko kya.

Baithte uthte madad key waaste,

Yaa RasoolAllah kahaa phir tujh ko kya.

Ya gharaz sey chat key mahz zikr ko,

Naam-e-paak un ka japaa phir tujh ko kya.

Be-khudi mein sajdah-e-dar yaa tawaaf,

Jo kiya acha kiya phir tujh ko kya.

Un ko tamleek Malik ul Mulk sey,

Maalik-e-’aalam kahaa phir tujh ko kya.

Un key naam-e-paak par dil jaan-o-maal,

Najdiyaa sab taj diyaa phir tujh ko kya.

Yaa’ibaadi keh key ham ko shaah ney,

Apnaa bandah kar liya phir tujh ko kya.

Dev key bandon sey kab hay yeh khitaab,

Tu nah un kaa hay nah thaa phir tujh ko kya,

Laa ya’oodoon aage hoga bhi nahin,

Tu alag hay daaima phir tujh ko kya.

Dasht-e-gird-o-pesh-e-Taibah ka adab,

Makkah saa thaa yaa siwaa phir tujh ko kya.

Najdi marta hay keh kyoon ta’zeem ki,

Yeh hamaara Deen thaa phir tujh ko kya.

Dev tujh sey khush hay phir ham kya karein,

Ham sey raazi hay Khuda phir tujh ko kya.


Dev key bandon sey ham ko kya gharaz,

Ham hain ‘abd-e-Mustafa phir tujh ko kya.

Teri dozakh sey to kuch cheena nahin,

Khuld mein pohonchaa RAZA phir tujh ko kya.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment