Nazar ik chaman sey do chaar hay nah chaman chaman bhi nisaar hay,
‘Ajab us key gul ki bahaar hay key bahaar bulbul-e-zaar hay.
Nah dil-e-bashar hi figaar hay key malak bhi us kaa shikaar hay,
Yeh jahaan key hazdah hazaar hay jise dekho us ka hazaar hay.
Nahin sar key sajdah kunaa(n) nah ho nah zubaan key zamzamah khwaa(n) nah ho,
Nah woh dil key us pey tapaa(n) nah ho nah wo seena jis ko qaraar hay.
Woh hay bheeni bheeni wahaan mehek key basaa hay ‘arsh sey farsh tak,
Woh hay pyaari pyaari wahaan chamak key wahaan ki shab bhi nahaar hay.
Koi aur phool kahaan khile nah jagah hay joshish-e-husn sey,
Nah bahaar aur pey rukh kare key jhapak palak ki to khaar hay.
Yeh saman yeh sosan-o-yaa saman yeh banafshah sunbul-o-nastaran,
Gul-o-sarw-o-laalah bharaa chaman wohi ek jalwah hazaar hay.
Yeh sabaa sanak woh kali chatak yeh zabaa(n) chehek lab-e-joo chhalak,
Yeh mehek jhalak yeh chamak damak sab usi key dam ki bahaar hay.
Wohi jalwah sheher ba-sheher hay wohi asl-e-‘aalam-o-dahr hay,
Wohi behr hay wohi lehr hay wohi paat hay wohi dhaar hay.
Woh nah thaa toh baagh mein kuch nah thaa woh nah ho to baagh ho sab fanaa,
Woh hay jaan, jaan sey hay baqaa wohi bun hay ban sey hi baar hay.
Yeh adab key bulbul-e-be-nawaa kabhi khul key kar nah sake nawaa,
Nah sabaa ko tez rawish rawaa nah chalakti nehron ki dhaar hay.
Ba-adab jhukaa lo sar-e-wilaa, key mein naam loon gul-o-baagh kaa,
Gul-e-tar Muhammad-e-Mustafa chaman un kaa paak diyaar hay.
Wohi aankh un ka jo moonh take wohi lab key mehw hown na’at key,
Wohi sar jo un key liye jhuke wohi dil jo un pey nisaar hay.
Yeh kisi ka husn hay jalwahgar key tapaa(n) hain khoobon key dil jigar,
Nahin chaak jayb-e-gul-o-sahar key qamr bhi seenah fagaar hay.
Wohi nazr-e-sheh mein zare nekoo jo ho unke ‘ishq mein zard roo,
Gul-e-khuld us sey ho rang joo yeh khazaan woh tazah bahaar hay.
Jise teri saff-e-ni’aal sey mile do niwaal-e-nawaal sey,
Woh bana key us key ugaal sey bhari saltanat ka udhaar hay.
Woh utthein chamak key tajalliyaan key mita dein sab ki ta’alliyaan,
Dil-o-jaan ko bakhshein tasalliyaan tera noor baarid-o-haar hay.
Rusul-o-Malak peh Durood ho wohi jaane un key shumaar ko,
Magar eik aisa dikhaa to do jo shafee’-e-roz shumaar hay.
Nah hijaab charkh-o-maseeh par nah kaleem-o-toor nihaa(n) magar.
Jo gaya hay ‘arsh sey bhi udhar wo ‘arab kaa naaqah sawaar hay.
Woh teri tajjali-e-dil nasheen key jhalak rahey hain falak zamee(n),
Tere sadqe mere mah-e-mubee(n) meri raat kyoon abhi taar hay.
Meri zulmatein hain sitam magar tera mah nah mehr keh mehr gar,
Agar ek cheent pare idhar shab-e-daaj abhi to nahaar hay.
Gunahe RAZA ka hisaab kyaa woh agar che laakhon sey hain siwaa,
Magar aay ‘afuw tere ‘afw ka nah hisaab hay nah shumaar hay.
Tere Deen-e-paak ki woh ziyaa key chamak uthi rah-e-istaafa,
Jo nah maane aap saqar gaya kahin noor hay kahin naar hay.
Koi jaan bas key mehek rahi kisi dil mein us sey khatak rahi,
Nahin us key jalwe mein yak rahi kahin phool hay kahin khaar hay.
Woh jise wahaabiya ney diya hay laqab shaheed-o-zabeeh ka,
Woh shaheed laila-e-najd thaa woh zabeeh-e-taigh-e-khiyaar hay.
Yeh hay dee(n) ki taqwiyat us key ghar yeh hay mustaqeem siraat-e-shar,
Jo shaqi key dil mein hay gaaw-khar toh zabaan pey choorhaa chamaar hay.
Woh Habeeb pyaara toh umr bhar kare faiz-o-jood hi sar basar,
Arey tujh ko khaaye tap-e-saqar tere dil mein kis sey bukhaar hay.
Woh RAZA key neze ki maar hay key ‘aduw key seene mein ghaar hay,
Kise chaarah joyi ka waar hay key yeh waar waar sey paar hay.