Jaan pareshaan Dil Hai muztar Mahe Ramzan Alvida
Alwada aye Mahe Ramzan alwada aye .ahe Ramazan alwada
Hoo Gaya rukhsat Rula Kar mahe Ramazan alwada
Sehri o aftaar ke wo kaif o Masti ke samaa'n
Jaate hain hamko Rulakar mahe Ramazan alwada.
Kuch amal bhi kar Na Paya bakhsh De pochey amal
Aye mere maula karam kar Mahe Ramzan alwada.
Is Baras bhi narazgi Teri Hameen Tad Paa gayi
Band they maula tere Ghar mahe Ramazan alwada.
Aakhri ashra najate naar paa jai gada
Sadqa E maheboob dawar Mahe Ramzan alwada.
Gumbad e khazra ke saye sehri o aftar hoo
Phir dekha jaldi wo manzar mahe Ramazan alwada.
Dil ke isyaan paake mauqa ashq ki surat mere
Aankh me aye ubhar kar mahe Ramazan alwada.
Daag e furqat haal abtar Ranj o gam baare alam
Jaa Raha hai hamko dekar mahe Ramazan alwada.
Pur nadamat hai gunahoon se hain Taib har zabaan
Kah Rahi hai sub ye milkar mahe Ramazan alwada.
Tere hute hajaaten poori huyen muhtaaj ki
Aye mere Muhtaaj e parwar mahe Ramazan alwada.
Rahmat o bakshish jo har ranj se rihaai bhi mile
Khatam kar isiyaan ke daftar mahe Ramazan alwada.
Jaan o Dil tareek they isyaan ke baa is Qadri
Wo chala kar ke munawar mahe Ramazan alwada.