Pages

Hirz-e-jaan zikr-e-shafaa’at kijiye Lyrics

 Hirz-e-jaan zikr-e-shafaa’at kijiye,

Naar sey bachne ki soorat kijiye.


Unke naqshe paa pe ghairat kijiye,

Aankh sey chhup kar ziyaarat kijiye.


Unke husn-e-baa malaahat par nisaar,

Sheera jaan ki halaawat kijiye.


Unke dar par jaise ho mit jaaiye,

Naa-tawaano! Kuch to himmat kijiye.


Phair dije panja-e-dev-e-la’een,

Mustafa key bal pe taaqat kijiye.


Doob kar yaad-e-lab-e-shaadab mein,

Aab-e-kausar ki sabaahat kijiye.


Yaad-e-qaamat karte utthiye qabr sey,

Jaan-e-mehshar par qiyamat kijiye.


Un key dar par baitthiye ban kar faqeer,

Be-nawaao fikr-e-sarwat kijiye.


Jis ka husn Allah ko bhi bhaa gaya,

Aise pyaare sey mohabbat kijiye.


Hayyi Baaqi jiski karta hay thanaa,

Marte dam tak uski midhat kijiye.


Arsh par jiski kamaane chadh gayeen,

Sadqe us baazu pe quwwat kijiye.


Neem wa Taybah key phoolon par ho aankh,

Bulbulo! paas-e-nazaakat kijiye.


Sar sey girta hay abhi baare gunaah,

Kham zara farq-e-iraadat kijiye.


Aankh to utthti nahin kiya dein jawaab,

Hum pe be pursish hi rehmat kijiye.


‘Uzr-e-badtar az gunaah ka zikr kya,

Be sabab hum par ‘inaayat kijiye.


Na’rah kijiye Yaa RasoolAllah ka,

Mufliso! saamaane daulat kijiye.


Hum tumhaare hoke kis key paas jaayein,

Sadqa shahzaadon ka Rehmat kijiye.


Man ra aani qad ra al Haq jo kahein,

Kya bayaan uski haqiqat kijiye.


‘Aalim-e-‘ilm do aalam hain Huzoor,

Aap sey kya ‘arz haajat kijiye.


Aap sultan-e-jahaan hum be-nawaa,

Yaad hum ko waqt-e-ne’mat kijiye.


Tujh sey kya kya aay mere Taybah key chaand,

Zulmat-e-gham ki shikaayat kijiye.


Dar badar kab tak phirrain khasta kharaab,

Taiba mein madfan ‘inaayat kijiye.


Har baras wo qaafilon ki dhoom dhaam,

Aah suniye aur ghaflat kijiye.


Phir palat kar munh na us jaanib kiya,

Sach hay aur da’waa-e-ulfat kijiye.


Aqriba hubb-e-watan be himmati,

Aah kis kis ki shikaayat kijiye.


Ab to Aaqa munh na dikhane ka nahin,

Kis tarah raf’-e- nadaamat kijiye.


Apne haathon khud luta baitthe hain ghar,

Kis pe da’waa-e-bazaa’at kijiye.


Kis sey kahiye kya kiya kya ho gaya,

Khud hi apne par malaamat kijiye.


‘Arz ka bhi ab to moonh parta nahin,

Kia ‘ilaaj-e-dard-e-furqat kijiye.


Apni ek meetthi nazar key shahed sey,

Chaara-e-zahr-e-museebat kijiye.


De Khuda himmat keh yah jaan-e-hazeen,

Aap par waarein woh soorat kijiye.


Aap hum sey barh key hum par meherbaan,

Hum kare jurm Aap rehmat kijiye.


Jo na bhoola hum ghareebon ko RAZA,

Yaad uski apni ‘aadat kijiye.



Hirz-e-jaan zikr-e-shafaa’at kijiye Lyrics 

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment