Pages

Qalb Ko Uski Ruyat Ki hai Aarzu Lyrics ( 2023 )

Qalb Ko Uski Ruyat Ki hai Aarzu Lyrics: 


Qalb Ko Uski Rooyat Ki Hai Aarozu

Jiska Jalwa Hai Aalam Me Har charso

Balke Khud Nafs Me He Wo Subhan ho

Arsh Par Hai Magar Arsh Ko Justujo 

Allahu Allahu Allahu Allahu 


Arsh o Farsh o Zamaan o Jahat Ay Khuda

Jis Taraf Dekhta Huñ He Jalwa Tera

Zar’re-Zar’re Ki Aankhoñ Me Tu Hee Zia

Qatre-Qatre Ki Tu Hee To He Aabru

Allahu Allahu Allahu Allahu 


Tu Kisi Jaa Nahiñ Awr Har Jaa He Tu

Tu Munaz’zah Makaañ Se Mubar’ra Ze Su

Ilm O Qudrat Se Har Jaa He Tu Ku Ba Ku

Tere Jalwe He Har-Har Jaga Ay ‘Afu

Allahu Allahu Allahu Allahu


Saare Aalam Ko He Teri Hee Justaju

Jinn O Ins O Malak Ko Teri Aarazu

Yaad Me Teri Har Ek He Su Ba Su

Ban Me Wahshi Lagaate Haiñ Zarbaat e Hu

Allahu Allahu Allahu Allahu 


Naghma Sanjaan e Gulshan Me Charcha Tera

Chehchahe Zikr e Haq Ke Haiñ Subh o Masaa

Apni-Apni Chehek Apni-Apni Sadaa

Sub Ka Matlab He Waahid, Ke Waahid He Tu

Allahu Allahu Allahu Allahu 


Taa’iraan e Jinaañ Me Teri Guftagu

Geet Tere Hee Gaate Haiñ Wo Khush Gulu

Ko-ee Kehta He Haq, Ko-ee Kehta He Hu

Awr Sub Kehte Haiñ ‘Laa Shareeka La Hu’

Allahu Allahu Allahu Allahu


Bulbul e Khush Nawa Tooti e Khush Gulu

Zamzamah Khwaañ Haiñ Gaate Haiñ Naghmaat e Hu

Qumri e Khush Liqa Boli Haq Sir’ruhu

Faakhta Khush Ada Ne Kaha Dost Tu

Allahu Allahu Allahu Allahu 


Subh O Dam Kar Ke Shabnam Se Ghusl O Wuzu

Shaahidaan e Chaman Bastah Saf Ru Ba Ru

Wird Karte Haiñ Tasbeeh Subhaanuhu

Hu Wa Laa Ghairuhu, Hu Wa Laa Ghairuhu

Allahu Allahu Allahu Allahu 


Har Nihaal e Chaman Zikr Se He Nihaal

Zikr e Haq Ye Usay Karta He Maala Maal

Zikr Se Chook Kar Hota He Wo Nid’haal

Zikr Hee Tera He Uski Wajh e Namu

Allahu Allahu Allahu Allahu 


Jo He Ghaafil Tere Zikr Se Dhul-Jalaal

Us Ki Ghaflat He Us Par Wabaal o Nakaal

Qe’r e Ghaflat Se Ko Khudaya Nikaal

Hum Hoñ Zaakir Tere Awr Mazkoor Tu

Allahu Allahu Allahu Allahu 


‘Afw Farma Khata-eñ Meri Ay ‘Afu

Shawq O Tawfeeq Neyki Ka De Mujh Ko Tu

Jaari Dil Kar Ke Har Dum Rahe Zikr Hu

Aadat e Bud Badal Awr Kar Neyk Khu

Allahu Allahu Allahu Allahu 


Daakhil e Khuld Hum Ko Jo Farmaa-e Tu

Hum Hoñ Awr Hoor o Ghilmaañ Lab e Aab e Ju

Awr Jaam e Tahoor Awr Meena Subu

Dekheñ A’daa To Rah Jaa-eñ Pee Kar Lahu

Allahu Allahu Allahu Allah 


Rahm Farma Khudaya, Haram Paak Ho

Tu Ne Taqdees Bakhshi He Jis Khaak Ko

Daf'aa Farma, Wahaañ Par He Be-Baak Jo

Awr Gira Bijliyaañ Qahr Ki Bar ‘Adu

Allahu Allahu Allahu Allahu.


Khawab e noori me aye jo noori khuda 

Baqa e noor ho apna zulmat kada 

Jagmaga uthey dil chahra ho pur Zia 

Nooriyoon ki tarah shagal ho zikr ho 

Allahu Allahu Allahu Allahu.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment