69. JAMAAL-E-HAZRAT-E-AHMAD RAZA KA
AAYNAA TUM HO
TumheN jis ney bhi dekha keh uthaa AHMAD RAZA tum ho
Jamaal-e-Hazrat-e-Ahmad Raza ka aaynaa tum ho.
NahiN Haamid Raza ham meiN magar wajhe shakeebaayi
Khuda rakhey tumheiN zindaa mere Haamid numaa tum ho.
Tumhare naam meiN tum ko buzurgi ki sanad haasil
Raza wajhe buzurgi hay razaa-e-Mustafaa tum ho.
Tumhare naam meiN yuN haiN Raza-o-Mustafaa do juzz
Raza waaley yaqiqan Mustafaa key Mustafaa tum ho.
Tumhari rif’atoN ki ibtedaa bhi paa nahiN sakta
Key uftaadah zameeN huN maiN balandi ka samaa tum ho.
Hayaat-o-mout waabastaa tumhare dam se haiN donoN
Hamari zindagi ho aor dushman ki qazaa tum ho.
Ye noori chehrah ye noori adaaeN sab ye kehte haiN
Shabi-e-Ghaus ho noori miyaaN ho aor Raza tum ho.
Raza jo yaan-e-Rabb thaamey huwe haiN isliye daaman
Raza se kaam padta hay raza-e-kibriyaa tum ho.
Janaab-e-Mufti-e-‘Aazam key fayzaan-e-tajalli se
Shabistaan-e-raza meiN khayr se AKHTAR Raza tum ho.