18. TOOBA MEIN JO SAB SEY OONCHI NAAZUK SEEDHI NIKLI SHAAKH
Tooba mein jo sab sey oonchi naazuk seedhi nikli shaakh,
Maangun naat-e-Nabi likhne ko Rooh-e-Quds sey aisi shaakh.
Mawla gulbun rahmat Zahra Sibtain uski kaliyan phool,
Siddique-o-Farooq-o-Usman-O-Haidar har ek uski shaakh.
Shaakh-e-qaamat sheh me zulf-o-chashm-o-rukhsaar-o-lab main,
Sunbul nargis gul pankhariyan qudrat ki kya phooli shaakh.
Apne in baaghon ka sadqa woh rahmat ka paani de,
Jis sey nakhl-e-dil mein ho paida pyaare teri wilaa ki shaakh.
Yaad-e-rukh mein aahein kar key ban mein main roya aayi bahaar,
Jhoomein naseemein nisaan barsa kaliyan chatkein mehki shaakh.
Zaahir-o-baatin awwal-o-aakhir zeb-e-faroo’-o-zain-e-usool,
Bagh-e-Risaalat mein hay tu hi gul ghuncha jar patti shaakh.
Aal-e-Ahmad khuzbiyadi Yaa Sayyad-e-Hamza kun madadi,
Waqt-e-khazaan-e-umre-e-RAZA ho barg-e-huda sey na aari shaakh.