Tere daaman-e-karam mein jisey neend aagayi hai lyrics
34. AY NASEEM-E-KOO-E-JAANAN
Tere daaman-e-karam meiN jisey neend aagayi hay
Jo fanaa na hogi aisi usey zindagi mili hay.
Mujhey kya padi kisi se karuN ‘arz mudda’a maiN
Meri lou to bas unhiN ke dar-e-jood se lagi hai.
Woh jahaan bhar ke daata mujhe pheyr deN ge khaali
Meri tauba ay khuda! Ye mere nafs ki badi hay.
Jo pa-e-sawaal aaye mujhe dekh kar ye bole
Isey chain se sulaao ke ye bandah-e-Nabi hay.
MaiN maruN to mere Maulaa ye malaayka se keh deN
Koi is ko mat jagaana abhi aankh lag gayi hay.
MaiN gunaahgaar huN aor bah martaboN ki khwaahish
Tu magar kareem hai khu teri bandah parwari hay.
Teri yaad thapki dey kar mujhe ab Shahaa sulaa dey
Mujhe jaagtey huwe yuN bahi deyr hogayi hay.
Ay naseem-e-koo-e-jaanaaN zara soo-e-bad naseebaaN
Chali aa khuli hay tujh pe jo hamaari bekasi hay.
Tera dil shikastah AKHTAR isi intezaar meiN hay.
Ke abhi naweed-e-waslat tere dar se aa rahi hay.