45. NOOR HI NOOR HAI ZIYAA HI HAY
Takht-e-zarreeN hay na taaj-e-shaahi hay
Kya faqeeraanah baadshaahi hay.
Fiqr par shaan ye ke zeyr-e-nageeN
Maah se le ke taabamaahi hay.
Roo-e-anwar ke saamney sooraj
Jaise ik sham’a subah gaahi hay.
Saaya-e-zaat kyuN nazar aaye
Noor hi noor hai ziyaa hi hay.
Reet Aaqa ki choRh di ham ne
Apni mehmaan ab tabaahi hay.
Ik nigaah-e-karam se mit jaaye
Dil pe AKHTAR ke jo siyaahi hay.
46. QAT’AA
Soya nahiN maiN raat bhar ‘Ishq-e-Huzoor meiN
Kaisaa ye rut jagaa raha kayf-o-Sarwar meiN
Pichle pehar jo margaya un ka woh jaanisaar
SargoshiyaaN ye kya hueeN ghulmaan-o-hoor meiN