32. TAARON KI ANJUMAN MEIN YE BAAT HO RAHI
HAY
TaaroN ki anjuman meiN ye baat ho rahi hay
Markaz tajalliyoN ka khaak-e-dar-e-Nabi hay.
Zarre ye keh rahey haiN us noor ke qadam se
Ye aab-o-taab le kar ham ne jahaaN ko di hay.
Yakta haiN jis tarah woh hay un ka gham bhi yakta
Khush huN ke mujh ko doulat anmol mil gayi hay.
Phir kyuN kahuN pareeshaaN ho kar baqoul shakhsey
Yakta ke gham meiN ab bhi be kayf zindagi hay.