52. ASHK-E-RAWAAN
Souz-e-nihaaN ashk-e-rawaaN aah-o-fughaaN dete haiN
KyuN mohabbat ka silaa ahl-e-jahaaN dete haiN.
Kaun rakhta teri is khaas ‘Inaayat ka bharam
Bas hameiN daad-e-sitam giryaah kunaaN dete haiN.
Ab pas-e-marg ubhartey haiN ye dereenah nuqoosh
Ham fanaa ho ke bhi hasti ka nishaaN detey haiN.
Kufr hai dekh ye khauf aor rajaa un se nadeem
Butt bhi kya tujh ko bhala soud-o-ziyaaN dete haiN.