39. SHAMEEM-E-ZULF-E-NABI صلى الله عليه وسلم
Shameem-e-zulf-e-Nabi laa saba Madine se
Mareez-e-hijr ko laa kar soonghaa Madine se.
Ye aa rahi hai mere dil ki sadaa Madine se
Har ik dukh ki mile gi dawaa Madine se.
Madinah kehta hai ham dam na jaa Madine se
Tujhe hay ‘aysh-e-abad ki salaa Madine se.
Naseem-e-mast chaley dilrubaa Madine se
Bahaar-e-dil meiN basey dil kushaa Madine se.
Naseem-e-mast chaley dilrubaa Madine se
Bahaar-o-baagh baney dil mera Madine se.
Uthaao! Baadah kasho! Saaghar-e-sharaab kuhan
Woh dekho jhoom ke aayi ghataa Madine se.
Madinah jaan-o-jinaan-e-jahaaN hai woh sunn leN
JinheN junoon-e-jinaaN ley chala Madine se.
Fizaa-e-deher ko gheyraa hai jis ki moujoN ne
Woh seyl-e-noor-e-MUHAMMAD صلى الله عليه وسلم chala Madiney se.
JahaaN bhar ke sikhaaney ko khusrawi ke usool
Ghubaar-e-khaak-e-nasheenaaN utha Madine se.
Teye karam key maiN qurbaaN ye hukm farmaa deN
Na jaaye ga mera AKHTAR RAZA Madine se.