31. JAAN-E-BAHAARAAN
Shahenshaah-e-do ‘aalam ka karam hay
Mere dil ko mayassar un ka gham hay.
YahiN rehte haiN woh jaan-e-bahaaraaN
Ye dunya dil ki rashk-e-sad iram hay.
Bhala daawey haiN un se hamsari key
Sar-e-’arsh-e-bareeN jin ka qadam hay.
Ye darbaar-e-Nabi hai jiskey aagey
Na jaane ‘arsh-e-’aazam kab se kham hay.
Taras khaao meri tishnah labi par
Meri pyaas aor ik jaam! Kam hay.
Dil-e-betaab ko behlaauN kaise
Badhegi aor betaabi sitam hay.
YahaN khaabu meiN rakh dil ko AKHTAR
Ye darbaar-e-Shaah-e-umam hay.