Pages

Sab se aula o aala hamara nabi lyrics

 53. SAB SEY AWLA-O-AA’LA HUMARA NABI


Sab sey awla-o-aa’la humara Nabi,

Sab sey baalaao waala humara Nabi.


Apne mawla ka pyaara humara Nabi,

Dono aalam ka dulhaa humara Nabi.


Bazm-e-aakhir ka sham’a firozaan huwa,

Noor-e-awwal ka jalwa humara Nabi.


Jisko shaayaan hay arsh-e-Khuda par juloos,

Hay woh sultaan-e-waala humara Nabi.


Bujh gayeen jiske aage sabhi mash’ale,

Sham’a woh lekar aaya humara Nabi.


Jis key talwon ka dhowan hay aab-e-hayaat,

Hay woh jaan-e-maseehaa humara Nabi.


Arsh-o-kursi ki theen aayina bandiya,

Soo-e-Haqq jab sidhaara humara Nabi.


Khalq sey Awliyaa Awliya sey Rusul,

Aur Rasoolon sey aa’laa humara Nabi.


Husn khaata hay jis key namak ki kasam,

Woh maleeh-e-dil-aaraa humara Nabi.


Zikr sab pheekey jab tak na mazkur ho,

Namkeen husn walaa humara Nabi.


Jiski do boond hain kausar-o-salsabil,

Hay woh rehmat ka dariyaa humara Nabi.


Jaise sab ka Khuda ek hay waise hi,

Inka unka tumhara humara Nabi.


Qarnon badlee Rasoolon ki hoti rahi,

Chaand badlee ka niklaa humara Nabi.


Kaun deta hay dene ko moonh chaahiye,

Dene waala hay sachha humara Nabi.


Kiya khabar kitne taare khile chup gaye,

Par na doobe na dooba humara Nabi.


Mulk kaunen mein Ambiya taajdaar,

Taajdaaron ka Aaqa humara Nabi.


Laa-makaan tak ujaala hay jis ka woh hay,

Har makaan ka ujaala humara Nabi.


Saare achho mein achhaa samjhiye jise,

Hay us ache sey achha humara Nabi.


Saare uncho mein unchhaa samjhiye jise,

Hay us oonche sey ooncha humara Nabi.


Ambiyya say karoon arz kyoon maaliko,

kia nabi hay tumhara humara Nabi.


Jisne tukre kiye hain qamar key woh hay,

Noor-e-wehdat ka tukda humara Nabi.


Sab chamak waale ujlon mein chamka kiye,

Andhe shishon me chamkaa humara Nabi. 


Jisne murdah dilon ko di umr-e-abad,

Hay woh jaan-e-maseehaa humara Nabi.


Ghamzado ko RAZA mujda di jiye key hay,

Bekaso ka sahaara humara Nabi.


Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment