49. BAZM-E-YAAR KA ‘AALAM
Nit nayi aek uljhan hay
Uff gham-e-rozgaar ka ‘aalam.
Kayf-o-masti meiN gharq ye dunya
Jaaney kya dil figaar ka ‘aalam.
Ay Khuda! Tujh pe khoob zaahir hay
Hay jo mujh sougwaar ka ‘aalam.
Jaan-e-gulshan ne ham se munh moudaa
Ab kahaaN woh bahaar ka ‘aalam.
Ab kahaaN woh chalaktey paymaaney
Ab kahaaN woh khumaar ka ‘aalam.
Haaye kya hogaya ghaRhi bhar meiN
Woh shakeeb-o-qaraar ka ‘aalam.
Daar-e-faani se kya gharaz is ko
Jis ka ‘aalam qaraar ka ‘aalam.
Ab woh rangeeniyaaN nahiN Ya Rabb!
Kya huwa bazm-e-yaar ka ‘aalam.
Yaad aata hai waqt-e-gham AKHTAR
Ruksat-e-gham gusaar ka ‘aalam.