50. ZAARI-E-PAYHAM KYA HAY
Meri mayyat pe ye ahbaab ka maatam kya hay
Shour kaisa hai ye aor zaari-e-payham kya hay.
Waay hasrat dam-e-aakhir bhi na aa kar poocha
Mudda’a kuch to bataa deedaah-e-pur nam kya hay.
Kuch bigaRhta to nahiN maut se apni yaaro
Hamsafeeraan-e-gulistaaN na rahey ham kya hay.
In khayalaat meiN gumm tha ke jhinjhoRhaa mujh ko
Aek anjaan si aawaaz ne ik dam kya hay.
Koun hota hai museebat meiN shareek-o-hamdam
Hosh meiN aa ye nashaa sa tujhe har dam kya hay.
Kayf-o-masti meiN ye madhosh zamaaney waaley
Khaak jaaneN gham-o-’aalaam ka ‘aalam kya hay.
Un se ummeed-e-wafa haaye teri naadaani
Kya khabar un ko ye kirdaar-e-mu’azzam kya hay.
Woh jo haiN ham se gureezaaN to balaa se apni
Jab yahi taur-e-jahaaN hai to bhala gham kya hay.
Meethi baatoN pe na jaa ahl-e-jahaaN ki AKHTAR
Aql ko kaam meiN laa ghaflat-e-payham kya hay.