Pages

Kya mahektay hain mehekney wale lyrics

 63. KYA MAHEKTAY HAIN MEHEKNEY WALEY


Kya mahektay hain mehekney waley,

Boo pe chaltay hain bhatakney waley.


Jag-maga uthi meri gor ki khaak,

Tere qurbaan chamakney waley.


Mah-e-be daagh key sadqe jaaun,

Yoon damaktey hain damakney waley.


‘Arsh tak phaili hay taabe ‘aariz,

Kya jhalaktey hain jhalakney waley.


Gul-e-Taiba ki thana gaatey hain,

Nakhl-e-toobaa pey chahekney waley.


Aasiyo! thaam lo daaman un ka,

Woh nahin haath jhatakney waley.


Abr-e-rehmat key salaami rehna,

phaltey hain paude lachakney waley.


Arey yeh jalwa-gahe jaana hay,

Kuch adab bhi hay pharrakney waley.


Sunniyo! Un sey madad maange jaao,

Parrey bakte rahein bakney waley.


Sham-e-yaad-e-rukh-e-jaana na bujhe

Khaak ho jaayen bharakney waley.


Maut kehti hay ki jalwa hay kareeb,

Ek zara so lein bilakney waley. 


Koi un tez rawon sey keh do,

Kis key ho kar rahain thakney waley.


Dil sulagta hay bhalaa hay ey zabt,

Bujh bhi jaate hain dahekney waley.


Hum bhi kumhlane sey ghaafil thay kabhee,

Kya hansain ghunchey chatakney waley.


Nakhl sey chat key yeh kya haal huwa,

Aah-o-patte kharakne waley.


Jab gire moonh soo-e-may-khaana tha,

Hosh mein hay yeh bahakney waley.


Dekh aw zakhme dil aape ko sambhaal,

Phoot behte hain tapakne waley.


May kahaan aur kahaan mein zaahid,

Yoon chahaktey hain chahakne waley.


Kaf-e-dariya-e-karam mein hain RAZA,

Paanch fawaarey chalakne wale.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment