88. KUCH AISAA KAR DEY MERE
Kuch aisaa kar dey mere kirdigaar aankhoN meiN
Ke jalwa gar rahey woh gul ‘Izaar aankhoN meiN.
Woh laala rukh ho agar jalwa baar aankhoN meiN
Bahaar-e-laala ho phir paaydaar aankhoN meiN.
Nazar ye kehti hay beikhtiyaar aankhoN meiN
UnheN jo dekhe wahi hay hazaar aankhoN meiN.
UnheN na dekha to kis kaam ki hay ye aankheN
Ke dekhne ki hay saari bahaar aankhoN meiN.
Abhi ho roohkash-e-’arsh-e-bareeN nazar meri
Jo aaye ‘arsh-e-nasheeN Taajdaar aankhoN meiN.
Karam se jalwa kareN jab nigaar aankhoN meiN
Khinch aaye saari chaman ki bahaar aankhoN meiN.
Banaaye dil ko woh ghar rehguzaar aankhoN meiN
Nazar ho qadmoN pe un ke nisaar aankhoN meiN.
Khinch aayi jaan paey intezaar aankhoN meiN
Karam se lijiye ab to qaraar aankhoN meiN.
Basey haiN jab se Madine key khaar aankhoN meiN
Huwa hai sehn-e-chaman khaar zaar aankhoN meiN.
Guzaar ho un ka kabhi beqaraar aankhoN meiN
Gohar ho nazr-e-qadam ashkbaar aankhoN meiN.
Phir aaye din mere AKHTAR Shab-e-huzoori meiN
Karam se jalwaah kare jab nigaar aankhoN meiN.
Nigaah-e-Mufti-e-’Aazam ki hay ye jalwagari
Chamak raha hay jo AKHTAR hazaar aankhoN meiN