17. JO UN KI TARAF MERI CHASHM-E-ILTEFAAT
NAHIN
Jo un ki taraf meri chashm-e-iltefaat nahiN
Koi ye un se kahe chain saari raat nahiN
Bajuz nigaah-e-karam ke to kuch nahiN maanga
Bigadte kyuN ho bigadne ki koi baat nahiN
Bohat haiN jeene ke andaaz par mere hamdam
Mazaah na ho jo khudi ka to kuch hayaat nahiN
Bawaqt-e-naz’a yaaN lalcha ke dekhta kya hay
Ye daar-e-faani hai raahi isey sabaat nahiN
Utha jo AKHTAR-e-khasta jahaaN se kya gham hay
Mujhe batao ‘azeezoN! Kisey mamaat nahiN
Kalam e Tajusharia
1. Talaatum hai Ye kaisa aansuon Ka Deedaah-e-tar mein Lyrics
2. Jhuke na baar-e-sad ahsaan se kyun binaaye falak Lyrics
3.Jab kabhi ham ne gham-e-jaanan ko bhulaya hoga lyrics