Pages

Is taraf bhi ik nazar mahr-e-darakshaan-e-jamaal lyrics

 41. AEK NAZAR MAHR-E-DARAKSHAAN-E-

JAMAAL


Is taraf bhi ik nazar mahr-e-darakshaan-e-jamaal

Ham bhi rakhtey haiN bohat muddat se armaan-e-jamaal.


Tum ne achchoN pe kiya hay khoob fayzaan-e-jamaal

Ham badoN par bhi nigaah-e-lutf-e-sultaan-e-jamaal.


Ik ishaarey se kiya shaq maah-e-taabaaN Aap ne

Marhaba sad marhaba Salley ‘Alaa shaan-e-jamaal.


Teri jaaN bakhshi ke sadqey ay maseehaa-e-zamaaN

SangreyzoN ne paRha kalmah tera jaan-e-jamaal.


Kab se baithe haiN lagaaye lau dar-e-jaanaaN pe ham

Haaye kab tak deed ko tarseiN fidaayaan-e-jamaal.

Farsh aankhoN ka bichaao rah guzar meiN aashiqoN!

Un ke naqsh-e-paa se hoge mazhar-e-shaan-e-jamaal.


Marr ke mitti meiN miley woh najdiyo! Bilkul ghalat

Hasb-e-saabiq ab bhi haiN marqad meiN Sultaan-e-jamaal.


Garmi-e-mehshar gunahgaaro! Hai bas kuch deyr ki

Abr ban kar chaaeN ge gesoo-e-Sultaan-e-jamaal.


Kar ke da’awaa hamsari ka kaise munh ke bal giraaa

Mit gaya woh jis ne ki tauheen-e-Sultaan-e-jamaal.


Haasidaan-e-shaah-e-deeN ko dijiye AKHTAR jawaab

Dar haqiqat MUSTAFAA pyaare haiN Sultaan-e-jamaal.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment