37. BAHAAR-E-BE KHIZAAN
Hamaare baagh-e-armaaN meiN bahaar-e-bekhizaaN aaye
Kabhi jo is taraf khandaan woh jaan-e-gulsitaaN aaye.
Woh jaan-e-Yousuf aajaaye agar mere tasawwur meiN
Khuda rakhe wahiN khinch kar bahaar-e-do jahaaN aaye.
Koi dekhey meri aankhoN se ye ‘ayzaaz Aaqa ka
Salaami ko dar-e-hazrat pe Shaah-e-qudsiyaaN aaye.
Jamaal-e-roo-e-jaanaN dekh luN kuch aisa saamaaN ho
Kabhi to bazm-e-dil meiN Yaa Khuda! Aaraam-e-jaaN aaye.
Ilaahi! Apni sattaari ka tujh ko waastah sunn ley
Sar-e-mehshar na bandey ka gunaah koi ‘ayaaN aaye.
Karam se is kameene ki bhi Maulaa laaj rakh lenaa
Tera AKHTAR tere saaye meiN Shaah-e-do jahaaN aaye.