43. GAR HAMEIN ZAUQ-E-TALAB SA REHNUMA MILTA NAHIN :
Gar hameiN zauq-e-talab sa rehnuma milta nahiN
Raastah milta nahiN aor mudda’a milta nahin.
Jhuk key mahr-o-maah goyaa dey rahe haiN ye sadaa
Dosaraa meiN koi tum sa doosra milta nahiN.
Ibtaghoo farmaa key goyaa Rabb ne ye farmadiya
Be waseelah najdiyo! Hargiz Khudaa milta nahiN.
Un se ummeed-e-wafaa ay dil mehez bekaar hay
Ahl-e-dunya se mohabbat ka silaa milta nahiN.
Kis ne tujh se keh diya dil be gharaz aate haiN woh
Be gharaz naadaan koi be wafa milta nahiN.
Dekhtey hi dekhtey sab apne begaaney huwe
Ab toh dhunRhey se bhi koi aashnaa milta nahiN.
Lau lagaata kyuN nahiN baab-e-shah-e-kounayn se
Haath uthaa kar dekh tu phir un se kya milta nahiN.
Tere maykhaane meiN jo kheenchi thi woh may kya huwi
Baat kya hai aaj peeney ka mazah milta nahiN.
Saaqiya teri nigaah-e-naaz may ki jaan thi
Pheyr li tu ne nazar to woh nashaa milta nahiN.
Peeney waaley dekh pee kar aaj un ki aankh se
Phir ye ‘aalam hoga ke khud ka pata milta nahiN.
AKHTAR-e-khasta ‘abas dar dar phira karta hai tu
Juz dar-e-AHMAD kahiN se mudda’a milta nahiN