35. FURQAT-E-TAYBAH KI WAHSHAT DIL SE JAAYE
KHAIR SE
Furqat-e-taybah ki wahshat dil se jaaye khayr se
MaiN Madine ko chaluN woh din phir aaye khayr se.
Dil meiN hasrat koi baaqi reh na jaaye khayr se
Raah-e-taybah meiN mujhe yuN maut aaye khayr se.
Mere din phir jaayeN Ya Rabb! Shab woh aaye khayr se
Dil meiN jab maah-e-Madinah ghar banaaye khayr se.
Raat meri din bane un ki liqaa-e-khayr se
Qabr meiN jab un ki tal’at jagmagaaye khayr se.
HaiN ghanee ke dar pe ham bistar jamaaye khayr se
Khayr ke taalib kahaaN jaayeN ge jaa-e-khayr se.
Woh khiraam-e-naaz farmaayeN jo paaey khayr se
Kya bayaaN woh zindagi ho dil jo paaey khayr se.
Mar ke bhi dil se na jaaye ulfat-e-baagh-e-Nabi
Khuld meiN bhi baagh-e-jaanaaN yaad aaye khayr se.
Ranj-o-gham huN be nishaaN aaye bahaar-e-bekhizaaN
Mere dil meiN baagh-e-jaanaN ki hawaa-e-khayr se.
Is taraf bhi do qadam jalwey khiraam-e-naaz key
Rah guzar meiN ham bhi haiN aankheN bichaaye khayr se.
Intezaar un se kahe hay bazubaan-e-chashm-e-nam
Kab Madinah maiN chaluN kab tu bulaaye khayr se.
Shaam-e-tanhaayi bane rashk-e-hazaaraaN anjuman
Yaad-e-jaanaN dil meiN yuN dhoomeN machaaye khayr se.
Furqat-e-taybah key haathoN jeete ji murdah huwe
Maut Yaa Rabb ham ko taybah meiN jilaaye khayr se.
Ho mujhe saeyr-e-gulsitaan-e-Madinah yuN naseeb
MaiN bahaaroN meiN chaluN khud ko gumaaye khayr se.
Zindaah baad ay aarzoo-e-baagh-e-taybah zindaah baad
Tere dam se haiN zamaaney key sataaye khayr se.
NajdiyoN ki cheerah dasti Yaa Ilaahi! Taabakey
Ye balaa-e-najdiyah taybah se jaaye khayr se.
Jhaank lo aankhoN meiN un ki hasrat-e-taybah liye
Zaayr-e-taybah ziyaa-e-taybah laaye khayr se.
Hay ye taybah ka payaam-e-taalib-e-’aysh-e-dawaam
Jannat-e-taybah meiN aa hasti mitaaye khayr se.
Sang-e-dar se aa miley taybah meiN ab to jaa mile
Aagaye dar pe tire tere bulaaye khayr se.
Gosh bar aawaaz huN qudsi bhi us key geet par
Baagh-e-taybah meiN jab AKHTAR gungunaaye khayr se.