54. DIL KO UNSE KHUDA JUDAA NA KARE
Dil ko unse Khuda judaa na kare,
Bekasi loot le Khuda na kare.
Is mein rouze ka sajdah ho ki tawaaf,
Hosh me jo na ho wo kya na kare.
Ye wohi hain keh baksh dete hain,
Kaun in jurmo par saza na kare.
Sab tabeebon ne de diya hay jawaab,
Aah ‘Eesa agar dawaa na kare.
Dil kahaan le chala haram sey mujhe,
Are tera bura Khuda na kare.
‘Uzr-e-ummeed-e-afw agar na sune,
Ru siyaah aur kya bahana kare.
Dil me roushan hay sham'-e- ‘ishq-e-Huzoor,
Kaash josh-e-hawas hawa na kare.
Hashr mein hum bhi sayr dekhenge,
Munkir aaj unse iltejaa na kare.
Zof maana magar ye zaalim dil,
Unke raste me to thakaa na kare.
Jab teri khu hay sabka jee rakhna,
Wahi achha jo dil buraa na kare.
Dil sey ik zouq-e-mai ka talab hoon,
Kaun kehta hay itteqa na kare.
Le RAZA sab chale Madine ko,
Mai na jaaun are Khuda na kare.