44. DAR-E-AHMAD PE AB MERI JABEEN HAI
Dar-e-AHMAD pe ab meri jabeeN hai
Mujhey kuch fikr-e-do a’alam nahiN hai.
Mujhey kal apni bakhshish ka yaqeeN hai
Ke ulfat un ki dil meN jaaguzeeN hai.
BahaareyN yuN to jannat meN haiN laakhoN
Bahaar-e-dasht-e-tayba par kahiN hai.
MaiN wasf-e-maah-e-tayba kar raha huN
Balaa se gar koi cheeN bar jabeeN hai.
A’bas jaana hai to ghayroN ki jaanib
Ke baab-e-rahmat-e-rahmaN yahiN hai.
Gunahgaaro na ghabraao ke apni
Shafa’at ko Shafi’ee-ul-muznibeeN hai.
Fareyb-e-nafas meN ham dam na aana
Bachey rahna yeh maar-e-aasteeN hai.
Dil-e-beytaab se AKHTAR yeh keh do
Sambhal jaaey Madinah ab qareeN hai.