91. CHAAND SE UN KE CHEHREY PAR
Chaand se un ke chehrey par gesu-e-mushk faam do
Aek anoukhi hay seher jis se baham hay shaam do.
DonoN taraf haiN chehrey pe zulf-e-ziyaahe faam do
Do do seher haiN beech meiN pehloo meiN un key shaam do.
Un ki jabeen-e-naaz par zulf-e-siyaah bikhar gayi
Shab ke haseen pardey meiN chamke mah-e-tamaam do.
Pee ke pilaa ke maykashoN tal chat daroon-e-jaam do
Khatraah do khatraah hi sahih kuch to baraaye naam do.
TalwoN se un ke hai lagi shams-o-qamar ki raushni
Ye haiN unhiN ki taabisheN ye haiN unhiN ke naam do.
Sarbar darat nihaata am par khaak-e-dar futaada am
Beemar-e-hijr-e-baada am apni nazar ka jaam do.
Gunchaa-e-dil khilaaiye jalwa-e-rukh dikhaaiye
Jaam-e-nazar pilaaiye dour chaley mudaam do.
Farsh-e-nazar pe ho guzar paamaal huN maiN sar basar
Rahwaar-e-naaz ko idhar jumbish paey khiraam do.
Un ki amaan meN raheN jin ke karam sey mil gaey
Un ke chaman ke paasbaaN Hussaam aor humaam do.
Ye donoN bekhatar raheN islaam ki sipar raheN
‘Adaa-e-deen par rahe shamsheer-e-beniyaam do.
Kashti-e-zindagi ab to kinaarey aa lagi
Kehti hai tum se zindagi ab to maey dawaam do.
Maidaan-e-na’at-e-Shaah-e-deeN AKHTAR hay purkhatar zameeN
Ye majlis-e-ghazal nahiN munh ko zara lagaam do.