58. ‘ARSH-E-HAQQ HAY MASNAD-E-RIF’AT RASOOL ALLAH KI
‘Arsh-e-haqq hay masnad-e-rif’at Rasool Allah ki,
Dekhni hay hashr mein ‘izzat Rasool Allah ki.
Qabr mein lehraayenge taa hashr chashme Noor key,
Jalwah farmaa hogi jab tal’at Rasool Allah ki.
Kaafiron par taigh-waalaa sey giri barq-e-ghazab,
Abr aasaa chaa gayi haibat Rasool Allah ki.
Laa wa Rabbil ‘arsh jisko jo mila unse mila,
Bat-ti hay kaunain mein ne’mat Rasool Allah ki.
Woh jahannum mein gaya jo unse mustaghni huwa,
Hay Khaleelullah ko haajat Rasool Allah ki.
Sooraj ulte paaon palte chaand ishaare sey ho chaak
Andhe najdi dekh le qudrat Rasool Allah ki.
Tujh sey aur Jannat sey kiya matlab wahabi door ho,
Hum RasoolAllah key Jannat Rasool Allah ki.
Zikr roke fazl kaate naqs ka jooyaan rahey,
Phir kahe mardak key hoon ummat Rasool Allah ki.
Najdi usne tujh ko mohlat di ki is ‘aalam mein hay,
Kaafir-o-murtad pe bhi rehmat Rasool Allah ki.
Hum bheekhaari woh kareem unka Khuda unse fuzoo,
Aur naa kehna nahin aadat Rasool Allah ki.
Ahl-e-Sunnat ka hay bera paar ashaabe Huzoor,
Najm hay aur naaw hay ‘itrat Rasool Allah ki.
Khaak hokar ishq mein aaraam sey sona mila,
Jaan ki akseer hay ulfat Rasool Allah ki.
Toot jaayenge gunahgaaro key fauran qaid-o-bandh,
Hashr ko khul jaayegi taaqat Rasool Allah ki.
Ya Rabb ek sa’at mein dhool jayein siyaahkaro key jurm,
Josh mein aajaaye ab rahmat Rasool Allah ki.
Hay gul-e-baagh-e-qudus rukhsaar zebaaye Huzoor,
Sarwe gulzaare qadam qaamat Rasool Allah ki.
Aay RAZA khud Saahib-e-Qur’an hay maddaah-e-Huzoor,
Tujh sey kab mumkin hay phir midhat Rasool Allah ki.