13. KABHI REHTE WOH IS GHAR MEIN
Talaatum hay ye kaisa aansuoN ka deedaah-e-tar meiN
Ye kaisi moujeN aayi haiN tamanna ke samandar meiN
Hujoom-e-shouq kaisa intezar-e-koo-e-dilbar meiN.
Dil-e-shayda samaata kyuN nahiN ab pehloo-o-bar meiN.
Tajassus karwateN kyuN le raha hay qalb-e-muztar meiN
Madinah saamne hay bas abhi pahoncha maiN dam bhar meiN.
Ye behseiN ho rahi haiN mere dil meiN pehloo-o-bar meiN
Ke dekheN koun pahonche aage aage shehr-e-dilbar meiN.
Madine tak pahonch jaata kahaaN taaqat thi ye par meiN
Ye Sarwar ka karam hay hay jo bulbul baagh-e-Sarwar meiN.
Madine ki woh marg-e-jaanfiza gar hay muqaddar meiN
Amar ho jayeN ge mar ke dayaar-e-rooh-e-parwar meiN.
Jo tu ay taair-e-jaaN kaam leta kuch bhi himmat se
Nazar ban kar pahonch jaate tajalli gaah-e-Sarwar meiN.
Ujaale meiN gumey hote tajalli gaah-e-Sarwar key
Nazar se chhup ke ham rehte tajalli gaah-e-Sarwar meiN.
Na rakha mujh ko taybah ki qafas meiN us sitamgar ne
Sitam kaisa huwa bulbul pe ye qayd-e-sitamgar meiN.
Sitam se apne mit jaaoge tum khud ay sitamgaaro
Suno ham keh rahe haiN be khatar dour-e-sitamgar meiN.
GuzargaahoN meiN un ki maiN bichaata deedah-o-dil ko
Qadam se naqsh bante mere dil meiN deedah-e-tar meiN.
Banaate jalwah gaah-e-naaz mere deedah-o-dil ko
Kabhi rehte woh is ghar meiN kabhi rehte woh us ghar meiN.
Madine se raheN khud door is ko rokne waale
Madine meiN khud AKHTAR hay Madina chashm-e-AKHTAR meiN.
Kalam e Hozoor Tajusharia list
Jhuke na baar-e-sad ahsaan se kyun binaaye falak Lyrics
Hamen ab dekhna hay houslah khursheed- e-mehshar ka Lyrics
Jab kabhi ham ne gham-e-jaanan ko bhulaya hoga lyrics