11. BASAD ADAB PAE TASLEEM SAR JHUKAAYE FALAK
Jhuke na baar-e-sad ahsaaN se kyuN binaaye falak
Tumhare zarre ke par to sitarhaaye falak.
Ye khaak-e-kucha-e-jaanaaN hai jis ke bosey ko
Na jaane kab se tarastey haiN deedhaaye falak.
‘Afu-o-’azmat-e-khaak-e-Madinah kya kahiye
Usi turaab ke sadqe hay ‘aetedaaye falak.
Ye un ke jalwe ki theeN garmiyaaN shab-e-asraa
Na laaye taab-e-nazar behkey deedhaaye falak.
Qadam se un ke sar-e-’arsh bijliyaaN chamkeeN
Kabhi the band kabhi waa the deedhaaye falak.
MaiN kam naseeb bhi teri gali ka kutta huN
Nigaah-e-lutf idhar ho na yuN sataaye falak.
Ye kis ke dar se phira hay tu najdi be deeN
Bura ho teraa sar pe gir hi jaaye falak.
Jo naam le Shah-e-’arsh-e-bareeN ka tu AKHTAR
Basad adab pae tasleem sar jhukaaye falak.