9.kalam e Tajusharia
GHAM-E-HASTI NE HAMEIN KHOON RULAYA
HOGA
Jab kabhi ham ne gham-e-jaanaN ko bhulaya hoga.
Gham-e-hasti ne hameiN khoon rulaya hoga.
Daaman-e-dil jo soo-e-yaar khincha jaata hay
Ho na ho us ne mujhe aaj bulaaya hoga.
Aankh utha kar to dekh mere dil ki taraf
Teri yaadoN ka chaman dil me sajaaya hoga.
Gardish-e-dour hameiN cheRh na itna warna
Apne naaloN se abhi hashr uthaaya hoga.
Doob jaye na kahiN gham me hamare ‘aalam
Ham jo ro deN ge to behta huwa darya hoga.
Sochiye kitna haseeN hoga wo lahza-e-AKHTAR
Sar baaliN pe dam-e-margh wo aaya hoga.