Pages

Hamen ab dekhna hay houslah khursheed- e-mehshar ka Lyrics

 8. HAMEN AB DEKHNA HAY HOUSLAH KHURSHEED-

E-MEHSHAR KA 


Woh baRta saaya-e-rahmat chala zulf-e-mu’ambar ka

HameiN ab dekhna hay houslah khursheed-e-mehshar ka.


Jo be pardah nazar aajaye jalwah roo-e-anwar ka

Zara sa munh nikal aaye abhi khursheed-e-khaawar ka.


Shah-e-kausar taraahem tishna-e-deedar jaata hay

Nazar ka jaam dey pardah rukh-e-pur noor se sar ka.


Adab gaahest zer-e-aasmaaN az ‘arsh naazuk tar

YahaN aate haiN yuN ‘arshi ke aawaazah nahiN par ka.


Hamari samt woh mahr-e-madinah meherbaaN aaya

Abhi khul jaye ga sab houslah khursheed-e-mehshar ka.


Chamak sakta hai to chamkey maqabil un ki tal’at ke

HameiN bhi dekhna hai houslah khursheed-e-mehshar ka.


RawaaN ho salsabeel-e-‘Ishq-e-sarwar mere seene meiN

Naho phir naaz ka kuch gham na dar khursheed-e-mehshar ka.


Teraa zarra woh hai jis ne khilay anginat taare

Teraa qatrah woh hai jis se mila dhaara samandar ka.


Bataana tha ke nechar un ke zeyr-e-paa musakhar hay

Bana patthar meiN yuN naqsh-e-kaf-e-paa mere Sarwar ka.


Woh zaahir ke bhi hakim haiN woh baatin ke bhi SultaaN haiN

Niraala tour-e-sultani hai shaahoN ke sikandar ka.


Ye sun leN saaya-e-jism-e-payambar dhoonRne waale

Bashar ki shakl meiN deegar hai woh paykar payambar ka.


Woh zill-e-zaat-e-rahmaaN haiN nubuwat ke mah-e-taabaaN

Na zil ka zil kahiN dekha na saaya mah-o-AKHTAR ka.  


Kalam e Tajusharia

Ham chale tum chalo sub madine chalen lyrics 

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment