16. KUCH KAREIN APNE YAAR KI BAATEIN
Kuch kareN apne yaar ki baateiN
Kuch dil-e-daaghdar ki baateiN.
Ham toh dil apna dey hi baithe haiN
Ab ye kya ikhtiyar ki baateiN.
MaiN bhi guzra hooN dour-e-ulfat se
Mat suna mujh ko pyaar ki baateiN.
Ahl-e-dil hi yahaaN nahiN koi
Kya kareN haal-e-zaar ki baateiN.
Pee ke jaam-e-mohabbat-e-jaanaN
Allah Allah khumar ki baateiN.
Mar na jaana mat`a-e-dunya par
Sun ke tu maaldar ki baateiN.
YuN na hote aseer-e-zillat tum
Sunte gar hoshiyaar ki baateiN.
Har ghaRhi wajd meiN rahey AKHTAR
Kijiye us dayaar ki baateiN.
How much does YouTube shorts pay