Pages

Wah Kya Martaba Ae Ghous Hai Bala Tera Naat Lyrics

 2. WAAH KYA MARTABA AAY GHAUS HAY BAALA TERA.

Track :02


Waah kya martaba aay Ghaus hay baala teraa,

Oonche oonchon key saron sey qadam aa’laa tera.


Sar bhalaa kya koi jaane key hay kaisa teraa,

Auliya malte hain aankhein woh hay talwaa tera.


Kya dabe jis pey himaayat ka ho panjah teraa,

Sher ko khatre me laata nahin kuttaa tera.


Tu Husaini Hasani kyoon nah muhiyuddin ho,

Aay khizar majma’-e-bahrain hay chashma tera.


Qasmein dey dey key khilaata hay pilaata hay tujhe,

Pyaara Allah teraa chaahne waala tera.


Mustafa key tane bey saaye ka saaya dekha,

Jis ney dekha meri jaan jalwaa-e-zaybaa tera.


Ibn-e-Zahraa ko mubaarak ho ‘aroos-e-qudrat,

Qaadiri paayein tasadduq mere dulhaa tera.


Kyoon nah qaasim ho key tu ibn-e-abil-qaasim hay,

Kyoon nah qaadir ho key mukhtaar hay baaba tera.


Nabavi meenh ‘alawi fasl batooli gulshan,

Hasani phool Husaini hay meheknaa tera.


Nabavi zil alawi burj batooli manzil,

Hasani chaand Husaini hay ujaalaa tera.


Nabavi khur ‘alawi kooh batooli ma’din,

Hasani la’l Husaini hay tajallaa tera.


Behr-o-bar sheher-o-quraa sehel-o-hazan dasht-o-chaman,

Kaun sey chak pe pohonchtaa nahin da’waa tera.


Husn-e-niyyat ho khataa phir kabhi karta hi nahin,

Aazmaayaa hay yagaana hay dogaana tera.


‘Arz-e-ahwaal ki pyaason me kahaan taab magar,

Aankhein aay abr-e-karam takti hain rastaa tera.


Maut nazdeek gunaahon ki tahein mail key khowl,

Aa baras jaa key nahaa dho le ye pyaasa tera.


Aab aamad woh kahe aur mein tayammum bar khaast,

Musht khaak apni ho aur noor ka ahlaa tera.


Jaan to jaate hi jaayegi qayaamat ye hay,

Ke yahaan marne pe thehra hay nazaarah tera.


Tujh sey dar dar sey sag aur sag sey hay mujh ko nisbat,

Meri gardan me bhi hay door ka doraa tera.


Is nishaani key jo sag hain nahi maare jaate,

Hashr tak mere gale mein rahe patta tera.


Meri qismat ki qasam khaayein sagaan-e-Baghdad,

Hind me bhi hoon to deta rahoon pehra tera.


Teri izzat key nisaar aay mere ghairat waale,

Aah sad aah key yoon khwaar ho barda tera.


Bad sahi, chor sahi, mujrim-o-naakaarah sahi,

Aay woh kaisa hi sahi hay to kareema tera.


Mujh ko ruswaa bhi agar koi kahegaa to yoon hi,

Ke wohi naa, wo RAZA banda-e-ruswa teraa.


Aay RAZA yoon na bilak tu nahin jayyid to na ho,

Sayyad-e-jayyid-e-har dehr hay mawla teraa.


Fakhr-e-Aaqa mein RAZA aur bhi ik nazm-e-rafee’,

Chal likha laayein thanaa khwaanon mein chehraa teraa. 


Hamare Dard ka Darma Hamare Gam Zuda Tum Ho Lyrics   

Munawwar Meri Aankhon ko mere shams duha karden lyrics kalam e Tajusharia lyrics 

1 comment

  1. Gulzar millat ka Kalam
Please have any doubts, please let me know
Post a Comment