Tu Hai Woh Ghaus Ke Har Ghaus Hai Shaida Tera Lyrics
3. TU HAY WOH GHAUS KEY HAR GHAUS HAY SHAIDA TERAA.
Tu hay woh Ghaus key har Ghaus hay shaida teraa,
Tu hay woh ghais key har ghais hay pyaasa teraa.
Sooraj aglon key chamaktey thay chamak kar doobe,
Ufaq-e-Noor pey hay mehr hamesha tera.
Murgh sab boltey hain bol key chup rehte hain,
Haan aseel ek nawa sanj rahega tera.
Jo wali qabl thay ya ba’d huwe ya hongey,
Sab adab rakhte hain dil mein mere Aqaa tera.
Baqasam kehtey hain shahaan-e-sarifeen-o-hareem,
Key hua hay nah wali ho koi hamtaa tera.
Tujhsey aur dahar key aqtaab sey nisbat kaisi,
Qutub khud kaun hay khaadim tera chelaa tera.
Saare aqtaab jahaan karte hain Kaa’be ka tawaaf,
Kaa’ba karta hay tawaaf-e-dar-e-waala tera.
Aur parwaane hain jo hote hain Kaa’be pey nisaar,
Shama’a ek tu hay key parwaanah hay Kaa’ba tera.
Shajr-e-sar-o-sahee kis key ugaaye tere,
Maarifat phool sahi kis ka khilaaya tera.
Tu hay naushaah baraati hay yeh saara gulzaar,
Laayi hay fasl-e-saman goondh key sehra tera.
Daaliyan jhoomti hain raqs-e-khushi josh pey hay,
Bulbulein jhoolti hain gaati hain sehra tera.
Geet kaliyon ki chatak ghazlein hazaaron ki chehek,
Baagh key saazon mein bajta hay taraana tera.
Saf-e-har shajrah mein hoti hay salaami teri,
Shaakhein jhuk-jhuk key baja laati hain mujra tera.
Kis gulistaan ko nahin fasl –-e-bahaari sey niyaaz,
Kaun sey silsile mein faiz nah aaya tera.
Nahin kis chaand ki manzil mein tera jalwa-e-noor,
Nahin kis aaine key ghar mein ujaala tera.
Raaj kis sheher mein kartey nahin tere khuddaam,
Baaj kis neher sey letaa nahin darya tera.
Mazr’ae Chisht-o-Bukhara-o-Iraaq-o-Ajmer,
Kaun si kisht pey barsa nahin jhaala tera.
Aur mehboob hain, haan par sabhi yaksaan to nahin,
Yoon to mehboob hay har chaahne wala tera.
Is ko sau fard sarapaa ba-faraghat oorhein,
Tang ho kar jo utarne ko ho neema tera.
Gardanein jhuk gayin sar bich gaye dil laut gaye,
Kashf-e-saaq aaj kahaan yeh to qadam tha tera.
Taaj-e-farq-e-irfaa kis key qadam ko kahiye,
Sar jise baaj dein woh paaon hay kiska tera.
Sukr key josh mein jo hain woh tujhe kya jaanein,
Khidr key hosh sey pooche koi rutba tera.
Aadmi apne hi ehwaal pey karta hay qiyaas,
Nashe waalon ney bhula sukr nikaala tera.
Woh to choota hi kaha chahein key hain zer-e-hadeed
Aur har auj sey ooncha hay sitarah tera.
Dil-e-aa’da ko RAZA tez namak ki dhun hay,
Ek zara aur chirakta rahey khaamah tera.
Kalam e Ala Hazrat
Wah Kya Martaba Ae Ghous Hai Bala Tera Naat Lyrics
Wah kiya martaba hai Gaus hai Bala Tera Lyrics
Banda Milne ko qareeb e hazrat e qadir gaya lyrics