4. AL AMAAN QEHER HAY AAY GHAUS WOH TEEKHA TERA
Ya gaus e Azam |
Al amaan qeher hay aay Ghaus woh teekha tera,
Mar key bhi chain sey sotaa nahin maara tera.
Baadalon sey kahin rukti hay karakti bijlee,
Dhaalein cheent jaati hain uthta hay jo tegha tera.
Aks ka dekh key munh aur biphar jaata hay,
Chaar aaina key bal ka nahin nezaa tera.
Koh-e-sar mukh ho to ek waar mein do par kaale,
Haath parta hi nahin bhool key aucha tera.
Is pey yeh qeher key ab chand mukhalif tere,
Chahate hain key ghata dein kahin paaya tera.
Aql hoti to Khuda sey nah laraai lete,
Yeh ghataein usey manzoor barhaana tera.
Warafa'naa laka zikrak ka hay saaya tujh par,
Bol baala hay tera zikr hay ooncha tera.
Mit gaye mit te hain mit jaayenge aa’daa tere,
Na mitaa hay na mitega kabhi charcha tera.
Tu ghataaye sey kisi key na ghata hay na ghatay,
Jab barhaaye tujhe Allah Ta’ala tera.
Samm-e-qaatil hay Khuda ki qasam unka inkaar,
Munkir-e-fadl-e-Huzoor aah ye likkha tera.
Mere sayyaaf key khanjar sey tujhe baak nahin,
Cheer kar dekhe koi aah kaleja tera.
Ibn-e-Zahra sey tere dil mein hain ye zeher bhare,
Bal be ow munkir-e-be baak yeh zuhra tera.
Baaz-e-ashhab ki ghulaami sey yeh aankhein phirni,
Dekh ur jayega imaan ka tota tera.
Shaakh par baith key jar kaatne ki fikr mein hain,
Kahin neecha na dikhaye tujhe shajra tera.
Haq sey bad ho key zamaane ka bhala banta hay,
Are main khoob samajhta hoon mua’mma tera.
Sag-e-dar qeher sey dekhe to bikharta hay abhi,
Band band-e-badan aay roobeh duniya tera.
Gharz aaqa sey karoon arz key teri hay panaah,
Bandah majboor hay khaatir pe hay qabza tera.
Hukm-e-naafiz hay tera khaamah tera saif teri,
Dam main jo chaahe kare dor hay shahaa tera.
Jis ko lalkaar de aata to ultaa phir jaaye,
Jis ko chamkaar le har phir key woh teraa tera.
Kunjiyan dil ki Khuda ne tujhe dein aisi kar,
Ke yeh seena ho mohabbat ka khazeena tera.
Dil pe kundah ho tera naam key wo duzd-e-rajeem,
Ulte hi paaon phire dekh key tughra tera.
Naz’aa mein gor mein meezaan pe sar-e-pul pe kahin,
Na chutay haath say daamaan-e-mu’alla tera.
Dhoop mahshar ki woh jaan soz qayaamat hay magar,
Mutmain hoon key mere sar pe hay pallaa tera.
Bahjat is sir ki hay jo bahjatul asraar mein hay,
Ke falak waar mureedon pe hay saaya tera.
Aay RAZA cheest-e-gham ar jumlah jahan dushman-e-tust,
Kardah am maamane khud qibla-e-haajaate tera
Kalam e Aala Hazrat Lyrics
1. Tu Hai Gaus Hai Har Gaus Hai Shaida Tera
2. Wah kiya martaba aye gaus hai Bala Tera Lyrics