APNE RINDO KI ZIYAFAT KIJIYE | Kalaam e Huzur Taajush Shariah
:36. SAAMAAN-E-‘ISHRAT KIJIYE
Apne Rindo Ki Ziyafat Kijiye
Jaam E Nazara Inayat Kijiye.
Saqiye Kausar Duhaai AAP ki
Sooqta Jaano Pe Rahmat Kijiye.
Dijiye Meri Mahubat ku hawa
is Taraf Shashme Mahubat Kijiye.
qaid e gam me khush rahoon main umer bhar
Yoon giraftaar e mahubat kijiye.
khud ko bhuloon aapki ulfat main
mujh ko yoon madhoosh ulfat kjiye.
Kijiye apna mohez apna mujhe
qat aa meri subse nisbat kijiye.
Daafiye hoo taiba se ye najdi bala
ya rasoolallha ujlat kijiye.
Maang lejiye khake taiba main jaga
Khake main Samaane ishrat kijiye.
Unpe marna hai tamame zindagi
maut se phir kiyon na ulfat kijiye.
Jaan lene Ayen wo jaane jahan
maut se phir kaise nafrat kijiye.
Zindagi hai Sadde Raahe Doostoon
kis liye Jeene ki hasrat kijiye.
Unpe mar jane ki rakhiye Aarzo
Yoon sada Jeeene ki surat kijiye.
zulmatoon me rooshni ke waaste
Daage seena ki hifazat kijiye.
Aatishe Dauzakh Bhujane ke liye
Teez Tar Naare Mahubat kijiye.
Teez Kijiye Seena e najdi ki Aag
Zikr Aayate wiladat kijiye.
Kijiye yaade Khatamul Ambiya
khatm yoon har ranj kulfat kijiye.
Taye hoo naame paak par meri kitab
ye karam khatam e risalat kijiye.
jo biwaslin daiman yaa sayidi
khatam abb ye door e furqat kijiye.
intezaar e jaane jaa hai jaan ko
ya rasoolallah ki kasrat kijiye.
deenge wo khud hi mahubat ka sila
marte te dam unki ziyarat kijiye.
thande thande khushboon me bas chalen
yaade geeso waqt rahlat kijiye.
gause azam aap se faryaad hai
dastigiri meri hazrat kijiye.
rihlaate akhtar ka hangaam aagaya
saaye rahmat pe rukhsat kijiye.
kalaam e huzur taajuhsaria