Pages

Gair Apne Ho Gaye Jo Hamare Badal Gaye lyrics tazmeen

Kalam -E- Tajushariah


Charkhe Wafa ke sare sitare badal gaye 
Ye kiya hua ke apne hi piyare badal gaye
Jin par tha ayete maad wo saare badal gaye
Gair Apne Ho Gaye Jo Hamare Badal Gaye
Nazrein badal gayen tu nazare badal gaye.

Jalne laga hai Aatish e kina se ashiyaa'n
Kuch is khadar bhadi hai zamane ki shaoqiyaa'n 
Kab se qaza ki zadd me hai tahseen e gulstaa'n 
Kisko sunaye gaa yahan gam ki daastaa'n 
Jo gam me saath dete wo saare badal gaye.


Ahele hunar ka abb na raha koi qadar daa'n 
Range Wafa na paoo gee  yaroon ke darmiyaan
Piyaroon me Haye badh gayi abb kitni duriyaan 
Dhoonde se paye gaa na pahli si maastiyaan 
Badli sharaab kahuna wo piyaale badal gaye.


Dill me nifaaq rakhta hai har maar e Aasiteen 
Dunya ki chah Aagayi gar qalb e ahele dee'n 
Ahele Dual ke Saamne Jhukti hai Abb jabeen 
Is door e maslehat me Wafa koi Shaye naheen 
Gaye huye hamare Tu Gaahe Badal Gaye.

Dunya ne kiya suna hai ye Baad e Naseem se 
Ayyub Arz karta hai Apne hasheem se 
Fakr e Alam nikaal ke qalb e Saleem se 
Akhtar lagaye loo nabe e Kareem se 
Kiya fikr ahele dunya jo saare badal gaye.



kalam e tajushariya naat lyrics
kalam e tajushshariah pdf.

Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment