Wah kiya rang hai aye azhari dulha tere lyrics
Munqabat e tajushsharia hozor Mufti Muhammad akhtar raza qadri azhari.
Tera paigam e amal maslake Ala Hazrat
Daulat e ishq e risalat hai Asasa Tera.
Waah kiya rang hai aye azhari dulha tere
Noori pooshak hai razvi hai amaama tera.
Mere raza ka hai jo jaanbaaz, mere Raza ka hai jo jaanbaaz.
Mere maslak ki awaz ala Hazrat ka janbaaz
Akhtar raza, akhtar raza, akhtar raza mera.
Hubahu Mufti e azam ki jhalak hai tujh me
Istaqamat ki bulandi pe hai taqwa tera.
Waah kiya rang hai aye azhari dulha tera.
Mufti akhtar raza khan, Mufti akhtar raza khan.
Ahle haq kahne lage taje shariyat tujh ko
Jo har e ilm o amal sub nejo dekha tera.
Mere maslak ki awaz ala Hazrat ka janbaaz
Akhtar raza akhtar raza akhtar raza mera.
Apni khismat pe sada Naaz karen ge wo loog
Dekha hai jinki nighahon ne bhi chahra tera
Kiyon na qurban ho dil o jaan unper
Shahe asjad main nazar ata hai jalwa tera.
Tere hatoon mai diya hath to fazl e rab se
Saath jannat main bhi ham subko mile ga tera.
Waah kiya rang hai aye azhari dulha tera.
Teri tahreer se gahil hai nabi ke dushman
Teez hai khanjar o shamsher se khaama tera.
Mere maslak ki awaz ala Hazrat ka janbaaz
Akhtar Raza akhtar raza akhtar raza mera.
Teri Agoosh e karam main hai Fareedi ki hayaat
Har mosibat se bachata hai sahara tera.
Waah Kia Rang Hai Aye Azhari Dulha Tera
Noori Poshak hai razvi hai amaama tera.
Mere maslak ki awaz ala Hazrat ka janbaaz
Akhtar raza akhtar raza akhtar raza mera.
Akhtar raza mera, akhtar raza mera,