Pages

Pohnchoon Dare Sarkar Pe Chaha To Yehi Hai Naat Lyrics

Naat Sharif:

Pohnchoon Dare Sarkar Pe Chaha To Yehi Hai lyrics: 

Pohnchoon Dare Sarkar Pe Chaha To Yehi Hai
Agay meri taqdeer tammana tu yahi Hai. 

Ek khas mehak Aane lagi maoje hawa main 
Aasaar batatay hain madina to yahi hai. 

Hain gumbad e khazra ke siwa Aur bhi jalway
Aankhon ke liye khas nazara tu yahi Hai. 

Yeh unki hai mujhay bhejeen mujhe rokeen
Wapis main nahi Aaoon gaa socha to yahi hai.

Yaad unki rahe dil main, jamal unka nazar main
Naam unka zaban per rahe acha tu yahi Hai. 

Har saans say aati ho sada salle ala ki 
Hum laakh jiyeen asal main jina tu yahi Hai. 

Izhar e gham e hijr ki kia shakal nikaloon 
Ronay ki bhi takat nahi rona tu yahi Hai. 

Taiba main ho sub kuch mere daman main Hain Aasein
Dunya ko karon kiya meri dunya tu yahi Hai. 

Pohnchoon Dare Sarkar Pe Chaha To Yehi Hai lyrics: 



1 comment

  1. Hindi
Please have any doubts, please let me know
Post a Comment