Pages

Zehe Izzat- O Itlaaye Muhammad Naat Lyrics

 Kalam E Ala Hazrat 

     Imam ahele sunnat mujjadidi deno millat  asha imam Ahemad Raza Khan Qadrii


Zehe Izzat-O Itlaaye Muhammad

 ( sallallahu alaihi wasallam

Ke hai Arshe Haq Zair e paye Muhammad

 ( sallallahu alaihi wasallam)


Makan Arsh Unka falak farash unka

Malak khadimana saraye Muhammad

 ( sallallahu alaihi wasallam)


Khuda ki raza chahte hain do alam 

Khuda chahta hai Raza e Muhammad 

( sallallahu alaihi wasallam)


Ajab kiya agar rahem farmale ham per 

Khuda e Muhammad bara e Muhammad 

( sallallahu alaihi wasallam)


Muhammed bara e janab e Ilahi !

Janab e Ilahi bara e Muhammad 

( sallallahu alaihi wasallam)


Basi asar e maheboobi kibriya se 

Aba e Muhammad khaba e Muhammad ( sallallahu alaihi wasallam) 


Baham Ahed bandhe hain wasl e Abad ka 

Raza e khuda aur raza e Muhammad

 ( sallallahu alaihi wasallam) 


Daam e naza jari hu mere zuban per 

Muhammed Muhammad khuda e Muhammad

( Sallallahu alaihi wasallam) 


Asaye kaleem azda haye gazab tha 

Gairoon ka sahara asaye Muhammad.

( sallallahu alaihi wasallam) 


Main khurban kiya piyari piyari hai nisbat 

Ye Aane khuda wo khuda e Muhammad.

( Sallallahu alaihi wasallam) 


Muhammed ka dam khas bahr e khuda hai 

Siwaye Muhammad baraye Muhammad.

( Sallallahu alaihi wasallam) 


Khuda unko kis piyar se dekhta hai

Jo Aankhen hain mah o liqaye Muhammad. 

Sallallahu alaihi wasallam 


Jalo main ijazat khawasi main rahmat 

Badhi kis tuzuk se dua e Muhammad.

Sallallahu alaihi wasallam.


Ijabat ne jhuk ker gale se lagaya 

Badhi naaz se jab dua e Muhammad

Sallallahu alaihi wasallam 


Ijabat ka sahra inayat ka joda 

Dulhan ban ke nikli dua e Muhammad.

Sallallahu alaihi wasallam 


Raza pul se abb wajd karte guzar ye 

Ke hai rabb e sallim sada e Muhammad. 

Sallallahu alaihi wasallam.


Kalam e raza book hadaiq e bakhshesh 👇👇





Sawal number (01)

Sawal ye hai ke  namaz main jamai aye tu kiya karen. Hath laga sakte hain ya nahi? 


Jawab:  is main jo namaz padh raha hai usko chaye ke wo apne moon se roko agar wo naho to daanton se roke. Abb ye bhi naho to tab hath laga ke ruke. 









Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment