Pages

Mujh Pe Bhi Chashme Karam Aye Mere Aaqa Karna Naat Lyrics

Kalam naseer uudin naseer 


Mujh pe bhi chashme Karam aye mere aaqa karna 

Haq tu mera bhi hai rahmat ka taqaza karna.

Mujh pe bhi chashme Karam


Mai ke zarra hoon mujhe us Ate sahra dede 

Ke tere bas hai khatre ko bhi derya karna.

Mujh pe bhi chashme Karam.


Main hoon bekas tera shewa hai Sahara dena 

Main hoon bimaar tera kaam hai acha karana.

Mujh pe bhi chashme Karam


Tu kisi ko bhi utha ta nahi apne der se

Ke teri shaan ke shaya nahi aisa karna.

Mujh pe bhi chashme Karam


Tere sadqe wo usi rang mein khud hi doba 

Jis ne jis rang mein chaha mujhe ruswa karna.

Mujh pe bhi chashme Karam


Ye teri tera kaam hai aye ke durre yateem 

Sari ummat ki shafa at tane tanha karna.

Mujh pe bhi chashme Karam


Tere Aage wo her aik manzar e fitrat ka adab 

Chand suraj ka wo pahroon tujhe dekha Karna.

Mujh pe bhi chashme Karam


Dushman ajaye tu uth kar wo bichana chadar 

Husn e aqlaaq se gairoon ko wo apna karna.

Mujh pe bhi chashme Karam.


Koi Farooq se pochey ke kise ata hai 

Dil ki dunya ko nazar se tah o Bala Karna.

Mujh pe bhi chashme Karam


Un sahaba ki khush atwaar nigahoon ko Salam

Jinka maslak tha tawafe rukhe zaiba Karna.

Mujh pe bhi chashme Karam.


Chand ki tarah tere gird wo Taron ka hojoom

Wo tera halqa e ashaab Main baitha karna.

Mujh pe bhi chashme Karam


Mujh pe mahsher main naseer unki nazar pad hi gai 

Kahne wale use kahte hain khuda karna.

Mujh pe bhi chashme Karam.


Kalam E Ala Hazrat 


Kalam e nasir uddin naseer 

Naat kahwan : oweis Raza Qadri damat barkat hum alia 

Special book from naat sharif imam e Ahel e sunnat imam Ahemad Raza Qadri please purchase this product and achieve ishq e Mustafa sallallahu alai wasallam












Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment