Pages

Jobano Par Hai Bahare Chaman Aaraye Dost Lyrics

 Kalam e Ala Hazrat track 20


Jo bano par hai bahare chaman aarayi dost

khuld ka naam na le bulbul e shedayi dost.


Thak ke baithey tu Dare dil pe tamanaye dost

kon se gher ka ujala nahi zebayi dost.


Arsaye hashr kuja mauqaf e mahemood kuja

saaz hangamoon se rakhti nahi yaktayi dost.


Maher kis mon se jalo dareye jana karta

saya ke naam se bezaar hai yaktayi dost.


Marne walon ko yahan milti hai umer jaweed

zinda chode gi kisi ko na masihayi dost.


Unko Yakta kiya aur khulq banai yani 

Anjuman kar ke tamasha karen tanhai Dost.


Kaba o Arsh main kuhraam hai na kami ka 

Aha kis Bazm main hai jalwaye yaktayi dost.


Husn Be perda ke perde ne Mita rakha hai 

Dhond Ne Jayen kahan jalwaye her jayi Dost.


Shaoq roke na roke paon uthaye Na uthey 

Kaisi mushkil main hain Allha tamannayi dost.


Sharm se jhukti hai mehrab ke sajid hain hozor

Sajda karwati hai kaba se jabeen saayi Dost.


Toor per koi , koi charq per ye Arsh se paar

Saare balaon pe Baala rahi baalayi Dost.


Anta fehim Ne Ado ko bhi liya Daman main 

Ayesh e jaweed mubarak tujhe shedayi dost.


Ranj e Aada ka raza chara hi kiya hai jab unhen 

Aap gustakh rakhe halam o shakebayi dost .









Post a Comment

Please have any doubts, please let me know
Post a Comment