Banda Milne Ko Qareeb e Hazrate Qadir Gaya
Lamma e Batin Main Gumne Jalway Zahir Gaya
Teri Marzi Pagaya Suraj Phira Ulte Khadam
Teri Ungli Uth Gai Maah Ka Kalija Chir Gaya.
Badh Chali Teri Zia Andheer Aalam Se Ghata
Khul Gaya Geso Tera Rahmat Ka badal Ghir Gaya.
Bandh gai teri hawa sawo main khak udne lagi
Badh chali Teri Zia Atish pe pani phir gaya.
Teri Rahemat se safiullah ka beda paar tha
Teri sadqe se najiullah ka bujra tar gaya.
Teri Amad thi ke baitullah mujre ko jhuka
Teri haibat thi ke but thar thara kar gir gaya.
Momin unka kiya hua allha uska hugaya
Kafir unka se kiya phira allha hi se phir Gaya.
Wo ke usder ka hua qalqe khuda uski hui
Wo ke usder se phira allha se phir gaya.
Mujh ko dewana batate ho main wo hoshyaar hoon
Paoon jab tawaf e haram main thak gaye sar phir Gaya.
Rahe matulha aalameen Aafat main hoon kaisi karon
Mere maula main tu is Dill se Bala main gir gaya.
Main tere Hathon ke sadqe kaisi Kan kariyaan thi wo
Jin se itne kafiron ka daf atan moon phir Gaya.
Kiyon janab e bu hurera the kaisa jaam e sheer
Jis se sattar sahaboon ka doodh se moon phir Gaya.
Waste piyare ka aisa huke jo sunni mare
Yoon na fermayen tere shahid ke wo fajir Gaya.
Arsh per dhomeen macheen wo momin Saleh mila
Farsh se maatam uthe wo taibbo taher Gaya.
Allha ye ullowey khaas e abdiyat Raza
Banda milne ko khareeb e Hazrat e qadir Gaya.
Thokareen khate phiro ge unke der per padhe rahu
Khafila tu aye Raza awwal Gaya akhir Gaya.
Kamil iman
Hazrat anas razi Allahu ta ala anhu se riwayat hai ke Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: tum main se koi us waqt tak momin nahi husakta jab tak ke main iske nazdeek iske baap iski aulad aur tamam logon se badh ker maheboob na hujaoon.